halak-e-justuju tha hirs ka mara na tha pahle
halāk-e-justujū thā hirs kā maarā na thā pahle
dahī dil hai magar itnā bhī āvāra na thā pahle
manāzir bāġh-o-ban ke dil-kushā bhī dil-shikan bhī the
magar fitrat-shikan yuuñ vaqt kā dhārā na thā pahle
jo hotā gulshan-e-ḳhūbī to hotī shān-e-mahbūbī
vahī insāñ hai lekin shāḳh-e-sad-pāra na thā pahle
sukūñ thā sāya-e-tūbā jo mīThī niiñd sote the
ki har ghar ḳhāna-e-askandar-o-dārā na thā pahle
chaman ke saath jalnā hai safīrān-e-chaman ko bhī
tamāzat thī magar phūloñ meñ añgārā na thā pahle
ye duniyā sā.ebāñ DhūñDegī phir agle zamānoñ meñ
ki zer-e-āsmāñ ye qahr-e-nazzārā na thā pahle
maiñ jū-e-nishāt-o-ġham huuñ koh-o-bāġh-o-sahrā meñ
ki maarā hijr kā thā husn kā maarā na thā pahle
sitāra thā koī jis se munavvar thī ye tanhā.ī
nazar meñ zau-fishāñ ye āsmāñ saarā na thā pahle
halak-e-justuju tha hirs ka mara na tha pahle
dahi dil hai magar itna bhi aawara na tha pahle
manazir bagh-o-ban ke dil-kusha bhi dil-shikan bhi the
magar fitrat-shikan yun waqt ka dhaara na tha pahle
jo hota gulshan-e-KHubi to hoti shan-e-mahbubi
wahi insan hai lekin shaKH-e-sad-para na tha pahle
sukun tha saya-e-tuba jo miThi nind sote the
ki har ghar KHana-e-askandar-o-dara na tha pahle
chaman ke sath jalna hai safiran-e-chaman ko bhi
tamazat thi magar phulon mein angara na tha pahle
ye duniya saeban DhunDegi phir agle zamanon mein
ki zer-e-asman ye qahr-e-nazzara na tha pahle
main ju-e-nishat-o-gham hun koh-o-bagh-o-sahra mein
ki mara hijr ka tha husn ka mara na tha pahle
sitara tha koi jis se munawwar thi ye tanhai
nazar mein zau-fishan ye aasman sara na tha pahle
- Book : Qafas-e-Rang (Pg. 32)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.