halqa-e-be-talban ranj-e-giran-bari kya
halqa-e-be-talbāñ ranj-e-girāñ-bārī kyā
uTh ke chalnā hī to hai, kuuch kī tayyārī kyā
ek koshish ki ta'alluq koī baaqī rah jaa.e
so tirī chāragarī kyā mirī bīmārī kyā
tujh se kam par kisī sūrat nahīñ raazī hotā
dil-e-nādāñ ne dikhā rakkhī hai hushyārī kyā
qaid-ḳhāne se nikal aa.e to sahrā kā hisār
ham se TūTegī ye zanjīr-e-giraftārī kyā
vo bhī turfa suḳhan-ārā haiñ, chalo yuuñ hī sahī
itnī sī baat pe yāroñ kī dil-āzārī kyā
halqa-e-be-talban ranj-e-giran-bari kya
uTh ke chalna hi to hai, kuch ki tayyari kya
ek koshish ki ta'alluq koi baqi rah jae
so teri chaaragari kya meri bimari kya
tujh se kam par kisi surat nahin raazi hota
dil-e-nadan ne dikha rakkhi hai hushyari kya
qaid-KHane se nikal aae to sahra ka hisar
hum se TuTegi ye zanjir-e-giraftari kya
wo bhi turfa suKHan-ara hain, chalo yun hi sahi
itni si baat pe yaron ki dil-azari kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.