halqa-e-digaran mein shamil tum
halqa-e-dīgarāñ meñ shāmil tum
kūcha-e-qātilāñ meñ shāmil tum
bazm-e-ahbāb meñ ho tum lekin
ho saf-e-dushmanāñ meñ shāmil tum
har nafas ham-kalām huuñ tum se
mere harf-o-bayāñ meñ shāmil tum
har ghaḌī ehtisāb hai merā
mere sūd-o-ziyāñ meñ shāmil tum
maiñ tumhāre vajūd kā hissa
paikar-e-jism-o-jāñ meñ shāmil tum
roz-e-mahshar guzar gayā mujh par
lamha-e-imtihāñ meñ shāmil tum
halqa-e-digaran mein shamil tum
kucha-e-qatilan mein shamil tum
bazm-e-ahbab mein ho tum lekin
ho saf-e-dushmanan mein shamil tum
har nafas ham-kalam hun tum se
mere harf-o-bayan mein shamil tum
har ghaDi ehtisab hai mera
mere sud-o-ziyan mein shamil tum
main tumhaare wajud ka hissa
paikar-e-jism-o-jaan mein shamil tum
roz-e-mahshar guzar gaya mujh par
lamha-e-imtihan mein shamil tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.