aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka

Muneer Shikohabadi

halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka

Muneer Shikohabadi

MORE BYMuneer Shikohabadi

    halqa halqa ghar banā laḳht-e-dil-e-betāb

    zulf-e-jānāñ meñ hai aalam sub.ha-e-sīmāb

    sone meñ nazzāra kar luuñ rū-e-ālam-tāb

    ḳhauf kyā duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtāb

    khel bhī betāb thā tiflī meñ us betāb

    par uḌātā thā havā par māhī-e-be-āb

    ruk nahīñ saktā hai dariyā dīda-e-pur-āb

    paaT hai rūmāl merā dāman-e-sailāb

    ḳhvāb meñ yārān-e-rafta se mulāqāteñ huiiñ

    ham ne samjhā ḳhizr ġhaflat ko rah-e-ahbāb

    kahte haiñ sab dekh kar betāb merā uzv uzv

    aadmī ab tak nahīñ dekhā kahīñ sīmāb

    niiñd sūrat nahīñ dekhā ba-juz dāġh-e-jigar

    parda merī aañkh meñ shāyad ki hai kam-ḳhvāb

    lag ga.ī aag ātish-e-ruḳh se naqāb-e-yār meñ

    dekh lo jaltā hai konā chādar-e-mahtāb

    majlis-e-be-sham.a vo haiñ sham-e-be-majlis huuñ maiñ

    ġham mirā ahbāb ko hai mujh ko ġham ahbāb

    hijr-e-jānāñ ke alam meñ ham farishte ban ga.e

    dhyān muddat se chhuTā āb-o-ta.ām-o-ḳhvāb

    ahl-e-taslīm-o-razā se sar-bulandoñ hai zeb

    ḳhushnumā zer-e-manār o qurb hai mehrāb

    jhuk ke ham ne bosa-e-abrū jab māñgī duā

    halqa-e-āġhosh par aalam huā mehrāb

    is qadar fariyād mahshar-ḳhez ai bulbul na kar

    dekhnā taḳhta na ulTe gulshan-e-shādāb

    mohr-e-dast-āvez-e-ġham hai har bashar dāġh-e-ġham

    dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbāb

    be-takalluf aa gayā vo mah dam-e-fikr-e-suḳhan

    rah gayā pās-e-adab se qāfiya ādāb

    parvarish taqdīr kartī hai mujhe bahr-e-qazā

    zab.h ko parvarda karnā kaam hai qassāb

    nashsha-e-jur.at ziyāda ho gayā ai mai-kasho

    sāġhar-e-mai ban gayā kaasa sar-e-sohrāb

    mū-e-ātish-dīd saañ bal khaa.e vo mū-e-kamar

    maiñ jo likkhūñ garm mazmūñ us tilā.ī Daab

    ho gayā huuñ maiñ naqāb-e-rū-e-raushan par faqīr

    chāhiye tah-band mujh ko chādar-e-mahtāb

    ḳhāl-o-ḳhat se aib us ke rū-e-aqdas ko nahīñ

    husn hai mus.haf meñ honā nuqta-e-e.arāb

    dost dushman se ziyāda tez rakhte haiñ chhurī

    barhaman bhī pesha ab karne lage qassāb

    hoñT par añgusht-e-rañgīñ rakh ke vo kahne lage

    shāḳh-e-marjāñ ne samar paidā kiyā unnāb

    lāġharī ke saath betābī yahī ai bahr-e-husn

    ḳhaar hai ye jism-e-lāġhar māhī-e-be-āb

    terī furqat meñ jo aa.e bhuul kar āñkhoñ meñ niiñd

    mardumān-e-chashm ne phir muñh na dekhā ḳhvāb

    mere murġh-e-dil betābī uḌaa.ī kis tarah

    hausla aisā nahīñ hai tā.ir-e-sīmāb

    ḳhidmat-e-aqdas meñ chal kar ye ġhazal paḌh ai 'munīr'

    shohra sab ahl-e-suḳhan meñ hai tire navvāb

    halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka

    zulf-e-jaanan mein hai aalam subha-e-simab ka

    sone mein nazzara kar lun ru-e-alam-tab ka

    KHauf kya duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtab ka

    khel bhi betab tha tifli mein us betab ka

    par uData tha hawa par mahi-e-be-ab ka

    ruk nahin sakta hai dariya dida-e-pur-ab ka

    paT hai rumal mera daman-e-sailab ka

    KHwab mein yaran-e-rafta se mulaqaten huin

    hum ne samjha KHizr ghaflat ko rah-e-ahbab ka

    kahte hain sab dekh kar betab mera uzw uzw

    aadmi ab tak nahin dekha kahin simab ka

    nind ki surat nahin dekha ba-juz dagh-e-jigar

    parda meri aankh mein shayad ki hai kam-KHwab ka

    lag gai aag aatish-e-ruKH se naqab-e-yar mein

    dekh lo jalta hai kona chadar-e-mahtab ka

    majlis-e-be-shama wo hain sham-e-be-majlis hun main

    gham mera ahbab ko hai mujh ko gham ahbab ka

    hijr-e-jaanan ke alam mein hum farishte ban gae

    dhyan muddat se chhuTa aab-o-taam-o-KHwab ka

    ahl-e-taslim-o-raza se sar-bulandon ki hai zeb

    KHushnuma zer-e-manar o qurb hai mehrab ka

    jhuk ke hum ne bosa-e-abru ki jab mangi dua

    halqa-e-aghosh par aalam hua mehrab ka

    is qadar fariyaad mahshar-KHez ai bulbul na kar

    dekhna taKHta na ulTe gulshan-e-shadab ka

    mohr-e-dast-awez-e-gham hai har bashar ka dagh-e-gham

    dil hai mahzar sohbat-e-gum-karda-e-ahbab ka

    be-takalluf aa gaya wo mah dam-e-fikr-e-suKHan

    rah gaya pas-e-adab se qafiya aadab ka

    parwarish taqdir karti hai mujhe bahr-e-qaza

    zabh ko parwarda karna kaam hai qassab ka

    nashsha-e-jurat ziyaada ho gaya ai mai-kasho

    saghar-e-mai ban gaya kasa sar-e-sohrab ka

    mu-e-atish-did san bal khae wo mu-e-kamar

    main jo likkhun garm mazmun us tilai Dab ka

    ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir

    chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka

    KHal-o-KHat se aib us ke ru-e-aqdas ko nahin

    husn hai mushaf mein hona nuqta-e-earab ka

    dost dushman se ziyaada tez rakhte hain chhuri

    barhaman bhi pesha ab karne lage qassab ka

    honT par angusht-e-rangin rakh ke wo kahne lage

    shaKH-e-marjaan ne samar paida kiya unnab ka

    laghari ke sath betabi yahi ai bahr-e-husn

    KHar hai ye jism-e-laghar mahi-e-be-ab ka

    teri furqat mein jo aae bhul kar aankhon mein nind

    marduman-e-chashm ne phir munh na dekha KHwab ka

    mere murgh-e-dil ki betabi uDai kis tarah

    hausla aisa nahin hai tair-e-simab ka

    KHidmat-e-aqdas mein chal kar ye ghazal paDh ai 'munir'

    shohra sab ahl-e-suKHan mein hai tere nawwab ka

    Source:

    Muntakhabul-Alam (Pg. 69)

    • Author: Muneer Shikohabadi
      • Edition: 1831
      • Publisher: Matba Saeedi
      • Year of Publication: 1848
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now