Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par

Imdad Ali Bahr

hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    ham āj-kal haiñ nāma-navīsī taav par

    din-bhar kabūtaroñ ko bhagāte haiñ baav par

    rindoñ ko ek roz to dariyā-dilī dikhā

    kashtī-e-mai ko chhoḌ de saaqī bahāo par

    likkhūñ vo sher-e-āriz-e-rañgīñ vasf-bīñ

    taḳhta chaman sadqe hoñ kāġhaz naav par

    kuchh hājat-e-kabāb nahīñ kaif-e-ishq meñ

    sīḳheñ dil-o-jigar lagīñ haiñ alaav par

    be-minnat-e-jahān-e-tunuk-zarf agar mile

    vallāh phir to charb hai ḳhashā pulāv par

    qaane muñh se ne.mat-e-duniyā ḳhafīf hai

    bhārī hai paav naan mire naan paav par

    āfat-nishāñ haiñ dīda-e-fattāñ putliyāñ

    tash.hīr sāmrī ko kareñge ye gaav par

    bāzīcha-gāh-e-ishq meñ vo huuñ qimār-bāz

    donoñ jahān rakh diye haiñ ek daav par

    kyuuñ kar barātiyoñ se na ghūñghaT kare dulhan

    saarī sabhā miTī hai tumhāre banāv par

    gul-gasht havas chamanistāñ aarzū

    ai be-qarāriyo mire dil ko lagāv par

    kartā huuñ maiñ jo marham-e-kāfūr talāsh

    kartī hai chāñdnī mirī siine ke ghaav par

    kashtī-e-mai lagī rahī saaqī laboñ ke ghaaT

    ham mai-kashoñ qāfila hai chal-chalāv par

    maiñ jal meñ aa gayā vo na aayā fareb meñ

    maiñ zad pe chaḌh gayā vo na Therā lagāv par

    parvāne tarah na bujhā de charāġh-e-husn

    tūtī-e-ḳhat ke ātish-e-ruḳh se jalāo par

    ilm-e-safīna us ko tujhe ilm-e-sīna 'bahr'

    pul par aur shaiḳh hai kāġhaz naav par

    hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par

    din-bhar kabutaron ko bhagate hain baw par

    rindon ko ek roz to dariya-dili dikha

    kashti-e-mai ko chhoD de saqi bahao par

    likkhun wo sher-e-ariz-e-rangin ki wasf-bin

    taKHta chaman ka sadqe hon kaghaz ki naw par

    kuchh hajat-e-kabab nahin kaif-e-ishq mein

    siKHen dil-o-jigar ki lagin hain alaw par

    be-minnat-e-jahan-e-tunuk-zarf agar mile

    wallah phir to charb hai KHasha pulaw par

    qane ki munh se nemat-e-duniya KHafif hai

    bhaari hai paw nan mere nan paw par

    aafat-nishan hain dida-e-fattan ki putliyan

    tashhir samri ko karenge ye gaw par

    bazicha-gah-e-ishq mein wo hun qimar-baz

    donon jahan rakh diye hain ek daw par

    kyun kar baraatiyon se na ghunghaT kare dulhan

    sari sabha miTi hai tumhaare banaw par

    gul-gasht ki hawas chamanistan ki aarzu

    ai be-qarariyo mere dil ko lagaw par

    karta hun main jo marham-e-kafur ki talash

    karti hai chandni meri sine ke ghaw par

    kashti-e-mai lagi rahi saqi labon ke ghaT

    hum mai-kashon ka qafila hai chal-chalaw par

    main jal mein aa gaya wo na aaya fareb mein

    main zad pe chaDh gaya wo na Thera lagaw par

    parwane ki tarah na bujha de charagh-e-husn

    tuti-e-KHat ke aatish-e-ruKH se jalao par

    ilm-e-safina us ko tujhe ilm-e-sina 'bahr'

    tu pul par aur shaiKH hai kaghaz ki naw par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now