hum aapko to ishq mein barbaad karenge
ham aap ko to ishq meñ barbād kareñge
tāsīr-e-vafā par tujhe kyā yaad kareñge
yaañ saḳht diloñ meñ nahīñ hamdam koī apnā
jā koh meñ farhād ko fariyād kareñge
mahrūm na rakkhegā hameñ ishq-e-butāñ se
go daad na deñ kushta-e-bedād kareñge
ai daur-e-falak mujh ko qasam sar kī hai apne
ham shaad kabhī ye dil-e-nāshād kareñge
gar silsila-e-ishq meñ farzand-e-ḳhalaf haiñ
ham ḳhāna-ḳharābī kā ghar ābād kareñge
kab pairavi-e-qais kareñ ishq o junūñ meñ
is fan meñ kuchh apnā hī ham ījād kareñge
ho halqa-ba-gosh āh-o-fuġhāñ kā mirī majnūñ
jab kaan pakaḌ yaad ham ustād kareñge
'hasrat' yūñhī āḳhir huī ye fasl bhī gul kī
kab kunj-e-qafas se hameñ āzād kareñge
hum aap ko to ishq mein barbaad karenge
tasir-e-wafa par tujhe kya yaad karenge
yan saKHt dilon mein nahin hamdam koi apna
ja koh mein farhad ko fariyaad karenge
mahrum na rakkhega hamein ishq-e-butan se
go dad na den kushta-e-bedad karenge
ai daur-e-falak mujh ko qasam sar ki hai apne
hum shad kabhi ye dil-e-nashad karenge
gar silsila-e-ishq mein farzand-e-KHalaf hain
hum KHana-KHarabi ka ghar aabaad karenge
kab pairawi-e-qais karen ishq o junun mein
is fan mein kuchh apna hi hum ijad karenge
ho halqa-ba-gosh aah-o-fughan ka meri majnun
jab kan pakaD yaad hum ustad karenge
'hasrat' yunhi aaKHir hui ye fasl bhi gul ki
kab kunj-e-qafas se hamein aazad karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.