hum aasman ko pahle zamin kahte the
ham āsmān ko pahle zamīn kahte the
hameñ farishte falak kā makīn kahte the
tū hī batā ki maiñ kyūñkar na 'ishq kartā yaar
mire buzurg mohabbat ko diin kahte the
vo sāñvlī thī magar vo kashish thī chehre meñ
hasīn log bhī us ko hasīn kahte the
hamārī 'aql pe parde paḌe mohabbat meñ
hameñ bhī log kabhī to zahīn kahte the
ab aisī baat to maiñ ‘ālimoñ se suntā huuñ
jo guzre vaqt meñ kuchh jāhilīn kahte the
hum aasman ko pahle zamin kahte the
hamein farishte falak ka makin kahte the
tu hi bata ki main kyunkar na 'ishq karta yar
mere buzurg mohabbat ko din kahte the
wo sanwli thi magar wo kashish thi chehre mein
hasin log bhi us ko hasin kahte the
hamari 'aql pe parde paDe mohabbat mein
hamein bhi log kabhi to zahin kahte the
ab aisi baat to main ‘alimon se sunta hun
jo guzre waqt mein kuchh jahilin kahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.