hum aayat-e-qurani us waqt hi paDhte hain
ham āyat-e-qur.ānī us vaqt hī paḌhte haiñ
ho jaan hathelī par tūfāñ se guzarte haiñ
kab tāb-e-nazāra hai bas diid kī hasrat hai
mil jaao kisī din tum din raat taḌapte haiñ
rahtā hai mohabbat ko har vaqt hī dhaḌkā sā
mausam kī tarah kahte haiñ dost badalte haiñ
ye raat kī raanī to ab merī sahelī hai
ham hañste haiñ donoñ hī donoñ hī mahakte haiñ
dete haiñ mujhe har din tārīḳh vo aane kī
va.adoñ se mukarte haiñ kab ishq vo karte haiñ
sochā hai tumheñ itnā par yaad nahīñ kitnā
shab yuuñ hī guzartī hai ham aaheñ hī bharte haiñ
in reshmī yādoñ ne uljhā ke rakhā mujh ko
din mere to aksar ab rātoñ se ulajhte haiñ
jin pyaar ke lamhoñ se dil shaad sā rahtā thā
'dilshād' vahī lamhe ranjūr sā karte haiñ
hum aayat-e-qurani us waqt hi paDhte hain
ho jaan hatheli par tufan se guzarte hain
kab tab-e-nazara hai bas did ki hasrat hai
mil jao kisi din tum din raat taDapte hain
rahta hai mohabbat ko har waqt hi dhaDka sa
mausam ki tarah kahte hain dost badalte hain
ye raat ki rani to ab meri saheli hai
hum hanste hain donon hi donon hi mahakte hain
dete hain mujhe har din tariKH wo aane ki
wadon se mukarte hain kab ishq wo karte hain
socha hai tumhein itna par yaad nahin kitna
shab yun hi guzarti hai hum aahen hi bharte hain
in reshmi yaadon ne uljha ke rakha mujh ko
din mere to aksar ab raaton se ulajhte hain
jin pyar ke lamhon se dil shad sa rahta tha
'dilshad' wahi lamhe ranjur sa karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.