hum agar dasht-e-junun mein na ghazal-KHwan hote
ham agar dasht-e-junūñ meñ na ġhazal-ḳhvāñ hote
shahr hote bhī to āvāz ke zindāñ hote
zindagī tere taqāze agar āsāñ hote
kitne ābād jazīre haiñ ki vīrāñ hote
tū ne dekhā hī nahīñ pyaar se zarroñ kī taraf
aañkh hotī to sitāre bhī numāyāñ hote
ārzūoñ se jo paimān-e-vafā ham rakhte
sānehe zaḳhm bhī hote to gulistāñ hote
ishq hī sho.ala-e-imkān-e-sahar hai varna
ḳhvāb ta.abīr se pahle hī pareshāñ hote
māzī-o-dosh kā har daaġh hai fardā kā charāġh
kaash ye shām-o-sahar sirf dil-o-jāñ hote
zabt-e-tūfāñ kī tabī.at hī kā ik ruḳh hai 'zamīr'
mauj āvāz badal letī hai tūfāñ hote
hum agar dasht-e-junun mein na ghazal-KHwan hote
shahr hote bhi to aawaz ke zindan hote
zindagi tere taqaze agar aasan hote
kitne aabaad jazire hain ki viran hote
tu ne dekha hi nahin pyar se zarron ki taraf
aankh hoti to sitare bhi numayan hote
aarzuon se jo paiman-e-wafa hum rakhte
sanehe zaKHm bhi hote to gulistan hote
ishq hi shoala-e-imkan-e-sahar hai warna
KHwab tabir se pahle hi pareshan hote
mazi-o-dosh ka har dagh hai farda ka charagh
kash ye sham-o-sahar sirf dil-o-jaan hote
zabt-e-tufan ki tabiat hi ka ek ruKH hai 'zamir'
mauj aawaz badal leti hai tufan hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.