hum akele hain to be-KHauf safar lagta hai
ham akele haiñ to be-ḳhauf safar lagtā hai
raah meñ dūsrā mil jaa.e to Dar lagtā hai
jis kā har gosha ho ābād vo ghar lagtā hai
varna har ghar mujhe ujḌā sā khañDar lagtā hai
parvarish ke liye hotā hai kahāñ rizq-e-halāl
aaj ye farz haqīqat se itar lagtā hai
hāl-e-dil apnā sañbhālūñ to sañbhālūñ kaise
mujh ko mahbūb kā chehra hī qamar lagtā hai
itnā āsān na jaano kisī fan ko 'rāhib'
koī bhī kaam karo ḳhūn-e-jigar lagtā hai
hum akele hain to be-KHauf safar lagta hai
rah mein dusra mil jae to Dar lagta hai
jis ka har gosha ho aabaad wo ghar lagta hai
warna har ghar mujhe ujDa sa khanDar lagta hai
parwarish ke liye hota hai kahan rizq-e-halal
aaj ye farz haqiqat se itar lagta hai
haal-e-dil apna sanbhaalun to sanbhaalun kaise
mujh ko mahbub ka chehra hi qamar lagta hai
itna aasan na jaano kisi fan ko 'rahib'
koi bhi kaam karo KHun-e-jigar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.