hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain
hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain
Akhtar Hoshiyarpuri
MORE BYAkhtar Hoshiyarpuri
ham aksar tīrgī meñ apne pīchhe chhup ga.e haiñ
magar jab rāstoñ meñ chāñd ubhrā chal paḌe haiñ
zamāna apnī 'uryānī pe ḳhuuñ ro.egā kab tak
hameñ dekho ki apne aap ko oḌhe hue haiñ
mirā bistar kisī fōtpath par jā kar lagā do
mire bachche abhī se mujh se tarka māñgte haiñ
buland āvāz de kar dekh lo koī to hogā
jo galiyāñ so ga.ī haiñ to parinde jāgte haiñ
koī tafsīl ham se pūchhnā ho pūchh liije
ki ham bhī aa.ine ke sāmne barsoñ rahe haiñ
abhī ai dāstāñ-go dāstāñ kahtā chalā jā
abhī ham jāgte haiñ jumbish-e-lab dekhte haiñ
havā apne hī jhoñkoñ kā ta'āqub kar rahī hai
ki uḌte patte phir āñkhoñ se ojhal ho rahe haiñ
hameñ bhī is kahānī kā koī kirdār samjho
ki jis meñ lab pe mohreñ haiñ darīche bolte haiñ
idhar se pāniyoñ kā relā kab kā jā chukā hai
magar bachche daraḳhtoñ se abhī chimTe hue haiñ
mujhe to chalte rahnā hai kisī jānib bhī jā.ūñ
ki 'aḳhtar' mere qadmoñ meñ abhī tak rāste haiñ
hum aksar tirgi mein apne pichhe chhup gae hain
magar jab raston mein chand ubhra chal paDe hain
zamana apni 'uryani pe KHun roega kab tak
hamein dekho ki apne aap ko oDhe hue hain
mera bistar kisi footpath par ja kar laga do
mere bachche abhi se mujh se tarka mangte hain
buland aawaz de kar dekh lo koi to hoga
jo galiyan so gai hain to parinde jagte hain
koi tafsil hum se puchhna ho puchh lije
ki hum bhi aaine ke samne barson rahe hain
abhi ai dastan-go dastan kahta chala ja
abhi hum jagte hain jumbish-e-lab dekhte hain
hawa apne hi jhonkon ka ta'aqub kar rahi hai
ki uDte patte phir aankhon se ojhal ho rahe hain
hamein bhi is kahani ka koi kirdar samjho
ki jis mein lab pe mohren hain dariche bolte hain
idhar se paniyon ka rela kab ka ja chuka hai
magar bachche daraKHton se abhi chimTe hue hain
mujhe to chalte rahna hai kisi jaanib bhi jaun
ki 'aKHtar' mere qadmon mein abhi tak raste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.