hum alag baiTh rahe chup ho kar
ham alag baiTh rahe chup ho kar
ab tire jī meñ jo aa.e so kar
ab tujhe kho ke ḳhayāl aatā hai
tujh ko paayā thā bahut kuchh kho kar
kyā burā hai mujhe achchhā honā
koī tadbīr agar hai to kar
tum ne kyā kar liyā rah kar bedār
ham ne to 'umr gañvā dī so kar
aaj tak tum nahīñ sañbhle 'bāsir'
khaa.ī thī kis kī galī meñ Thokar
hum alag baiTh rahe chup ho kar
ab tere ji mein jo aae so kar
ab tujhe kho ke KHayal aata hai
tujh ko paya tha bahut kuchh kho kar
kya bura hai mujhe achchha hona
koi tadbir agar hai to kar
tum ne kya kar liya rah kar bedar
hum ne to 'umr ganwa di so kar
aaj tak tum nahin sanbhle 'basir'
khai thi kis ki gali mein Thokar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.