hum apne aansuon ka afsana kya sunaen
ham apne āñsuoñ kā afsāna kyā sunā.eñ
duniyā ne kar diyā hai dīvāna kyā sunā.eñ
sab zaḳhm bhar chuke haiñ sab ḳhvāb mar chuke haiñ
ab kis umiid par ham sham'eñ na.ī jalā.eñ
in kashtiyoñ kā kyā hai aksar yahī huā hai
tūfān se nikal kar sāhil pe Duub jaa.eñ
kab saath 'umr bhar kā ham dil-zada ne chāhā
par ham-safar hamāre kuchh duur tak to aa.eñ
hum apne aansuon ka afsana kya sunaen
duniya ne kar diya hai diwana kya sunaen
sab zaKHm bhar chuke hain sab KHwab mar chuke hain
ab kis umid par hum sham'en nai jalaen
in kashtiyon ka kya hai aksar yahi hua hai
tufan se nikal kar sahil pe Dub jaen
kab sath 'umr bhar ka hum dil-zada ne chaha
par ham-safar hamare kuchh dur tak to aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.