hum apne aapko aise ganwane lagte hain
ham apne aap ko aise gañvāne lagte haiñ
bahut ḳhushī ho to mātam manāne lagte haiñ
akelā-pan hai aur aisā akelā-pan jis meñ
koī jo pūchh le kuchh sab batāne lagte haiñ
samajh meñ aatā nahīñ jab koī savāl hameñ
bahāne-bāz haiñ ham gungunāne lagte haiñ
vo baat dekhte haiñ dil nahīñ samajhte haiñ
maiñ jaao kahtā huuñ to log jaane lagte haiñ
bas ek baar hameñ vo pukār letā hai
badan kī qaid meñ ham chhaTpaTāne lagte haiñ
kisī kisī pe hī ab e'tibār hotā hai
kisī kisī ke hī ham log shāne lagte haiñ
ye chand dost bulāne pe bhī nahīñ aate
maiñ jab bulātā nahīñ huuñ to aane lagte haiñ
idhar se aa.e to tujh tak ham aa ga.e jaldī
udhar se aane meñ varna zamāne lagte haiñ
hamārī raat kā ik vaqt tai hai jis meñ ham
tamām bichhḌe huoñ ko bulāne lagte haiñ
hum apne aap ko aise ganwane lagte hain
bahut KHushi ho to matam manane lagte hain
akela-pan hai aur aisa akela-pan jis mein
koi jo puchh le kuchh sab batane lagte hain
samajh mein aata nahin jab koi sawal hamein
bahane-baz hain hum gungunane lagte hain
wo baat dekhte hain dil nahin samajhte hain
main jao kahta hun to log jaane lagte hain
bas ek bar hamein wo pukar leta hai
badan ki qaid mein hum chhaTpaTane lagte hain
kisi kisi pe hi ab e'tibar hota hai
kisi kisi ke hi hum log shane lagte hain
ye chand dost bulane pe bhi nahin aate
main jab bulata nahin hun to aane lagte hain
idhar se aae to tujh tak hum aa gae jaldi
udhar se aane mein warna zamane lagte hain
hamari raat ka ek waqt tai hai jis mein hum
tamam bichhDe huon ko bulane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.