hum apne aapko itna badal nahin sakte
hum apne aapko itna badal nahin sakte
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
ham apne aap ko itnā badal nahīñ sakte
tumhāre kahne se chehra badal nahīñ sakte
badalnā chāheñ agar kyā badal nahīñ sakte
magar jo haal hai dil kā badal nahīñ sakte
tumhāre vāste ya.anī badal chuke haiñ bahut
ab aur ḳhud ko ziyāda badal nahīñ sakte
ajiib log haiñ duniyā badalnā chāhte haiñ
magar vo ḳhud ko zarā sā badal nahīñ sakte
Dare hue haiñ samundar mirī ravānī se
magar vo chaah ke rasta badal nahīñ sakte
hamārī zaat ko muddat meñ ye huā hai nasīb
ab apne jiine kā lahja badal nahīñ sakte
alāva dukh ke tirī qismatoñ meñ ham bhī haiñ
nasīb terā lihāzā badal nahīñ sakte
vo ek duuje se āñkheñ badalte rahte haiñ
jo log roz kā ronā badal nahīñ sakte
badal rahā hai ravayya zarā zarā hī sahī
ab ek din meñ to saarā badal nahīñ sakte
hum apne aap ko itna badal nahin sakte
tumhaare kahne se chehra badal nahin sakte
badalna chahen agar kya badal nahin sakte
magar jo haal hai dil ka badal nahin sakte
tumhaare waste yani badal chuke hain bahut
ab aur KHud ko ziyaada badal nahin sakte
ajib log hain duniya badalna chahte hain
magar wo KHud ko zara sa badal nahin sakte
Dare hue hain samundar meri rawani se
magar wo chah ke rasta badal nahin sakte
hamari zat ko muddat mein ye hua hai nasib
ab apne jine ka lahja badal nahin sakte
alawa dukh ke teri qismaton mein hum bhi hain
nasib tera lihaza badal nahin sakte
wo ek duje se aankhen badalte rahte hain
jo log roz ka rona badal nahin sakte
badal raha hai rawayya zara zara hi sahi
ab ek din mein to sara badal nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.