hum apne aap pe qabu jo pa gae hote
ham apne aap pe qaabū jo pā ga.e hote
jo pal rahī hai vo nafrat miTā ga.e hote
baḌe salīqe se bāñTā hai ham faqīhoñ ko
ham ek hote to duniyā pe chhā ga.e hote
ye bhuuk pyaas hamāre gharoñ kī raunaq thī
jo yaad rakhte to ham ghar meñ aa ga.e hote
kisī kī talḳh-kalāmī muaaf kar dete
lagī hai aag jo ghar meñ bujhā ga.e hote
ye chehrā aaj asar dekh ham nahīñ paate
ham in kī haañ meñ agar haañ milā ga.e hote
hum apne aap pe qabu jo pa gae hote
jo pal rahi hai wo nafrat miTa gae hote
baDe saliqe se banTa hai hum faqihon ko
hum ek hote to duniya pe chha gae hote
ye bhuk pyas hamare gharon ki raunaq thi
jo yaad rakhte to hum ghar mein aa gae hote
kisi ki talKH-kalami muaf kar dete
lagi hai aag jo ghar mein bujha gae hote
ye chehra aaj asar dekh hum nahin pate
hum in ki han mein agar han mila gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.