hum apne aap se begane thoDi hote hain
ham apne aap se begāne thoḌī hote haiñ
surūr-o-kaif meñ dīvāne thoḌī hote haiñ
tabāh soch-samajh kar nahīñ huā jaatā
jo dil lagāte hai farzāne thoḌī hote haiñ
barāh-e-rāst asar Dālte haiñ sachche bol
kisī dalīl se manvāne thoḌī hote haiñ
jo log aate haiñ milne tire havāle se
na.e to hote haiñ anjāne thoḌī hote haiñ
isī zamīñ ke ġhazāloñ se hote haiñ ābād
diloñ ke dasht parī-ḳhāne thoḌī hote haiñ
hamesha haath meñ rahte haiñ phuul un ke liye
kisī ko bhej ke mañgvāne thoḌī hote haiñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī rahtī hai garm-bāzārī
dimāġh-o-dil kabhī vīrāne thoḌī hote haiñ
na aa.eñ aap to mahfil meñ kaun aatā hai
jale na sham.a to parvāne thoḌī hote haiñ
kisī ġharīb ko zaḳhmī kare ki qatl kare
nigāh-e-nāz pe jurmāne thoḌī hote haiñ
'shu.ūr' tum ne ḳhudā jaane kyā kiyā hogā
zarā sī baat ke afsāne thoḌī hote haiñ
hum apne aap se begane thoDi hote hain
surur-o-kaif mein diwane thoDi hote hain
tabah soch-samajh kar nahin hua jata
jo dil lagate hai farzane thoDi hote hain
barah-e-rast asar Dalte hain sachche bol
kisi dalil se manwane thoDi hote hain
jo log aate hain milne tere hawale se
nae to hote hain anjaane thoDi hote hain
isi zamin ke ghazalon se hote hain aabaad
dilon ke dasht pari-KHane thoDi hote hain
hamesha hath mein rahte hain phul un ke liye
kisi ko bhej ke mangwane thoDi hote hain
KHayal-o-KHwab ki rahti hai garm-bazari
dimagh-o-dil kabhi virane thoDi hote hain
na aaen aap to mahfil mein kaun aata hai
jale na shama to parwane thoDi hote hain
kisi gharib ko zaKHmi kare ki qatl kare
nigah-e-naz pe jurmane thoDi hote hain
'shuur' tum ne KHuda jaane kya kiya hoga
zara si baat ke afsane thoDi hote hain
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 123)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.