hum apne zaKHm sabhi ko dikha nahin sakte
ham apne zaḳhm sabhī ko dikhā nahīñ sakte
jo shikva tum se hai sab ko sunā nahīñ sakte
mire ḳhayāl kī gahrā.ī ko zarā samjho
ki sirf lafz to matlab batā nahīñ sakte
malāl ye hai ki saaqī to ban ga.e sāhab
sharāb haath meñ hai aur pilā nahīñ sakte
ajab hai phuul kī fitrat use masal kar tum
mahakte hāthoñ kī ḳhushbū chhupā nahīñ sakte
likhā gayā jo muqaddar meñ harf-e-āḳhir hai
tum apnī marzī se is ko miTā nahīñ sakte
hazāroñ hiile bahāne tarāsh lo phir bhī
tum apne chehre kī ḳhiffat chhupā nahīñ sakte
ab ek ham haiñ ki sadiyāñ guzār deñ 'ādil'
aur ek vo haiñ ki lamha batā nahīñ sakte
hum apne zaKHm sabhi ko dikha nahin sakte
jo shikwa tum se hai sab ko suna nahin sakte
mere KHayal ki gahrai ko zara samjho
ki sirf lafz to matlab bata nahin sakte
malal ye hai ki saqi to ban gae sahab
sharab hath mein hai aur pila nahin sakte
ajab hai phul ki fitrat use masal kar tum
mahakte hathon ki KHushbu chhupa nahin sakte
likha gaya jo muqaddar mein harf-e-aKHir hai
tum apni marzi se is ko miTa nahin sakte
hazaron hile bahane tarash lo phir bhi
tum apne chehre ki KHiffat chhupa nahin sakte
ab ek hum hain ki sadiyan guzar den 'adil'
aur ek wo hain ki lamha bata nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.