hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen
ham apne zauq-e-safar ko safar sitārā kareñ
na koī zā.icha khīñcheñ na istiḳhāra kareñ
usī se lafz bane maañ bhī ek hai jin meñ
to kaise harf kī be-hurmatī gavāra kareñ
usī sharar ko jo ik ahd-e-yās ne baḳhshā
kabhī diyā kabhī jugnū kabhī sitāra kareñ
shu.ūr-e-sher ne vo aañkh khol dī dil meñ
ki ab to ham pas-e-imkān bhī nazāra kareñ
firāq-rut meñ bhī kuchh lazzateñ visāl kī haiñ
ḳhayāl hī meñ tire ḳhāl-o-ḳhad ubhārā kareñ
ilāhī khol de ham par dar-e-madīna-e-ilm
alī alī isī ummīd par pukārā kareñ
asā nahīñ na sahī ham faqīr log magar
hoñ mauj meñ to talātum ko hī kināra kareñ
ḳhudā kā shukr hai sab zar-pasand jāh-talab
hamārī sohbat-e-be-faiz se kinārā kareñ
mile jo vaqt to 'anjum' ba-sūrat-e-dīvān
murattab apnī riyāzat kā goshvāra kareñ
hum apne zauq-e-safar ko safar sitara karen
na koi zaicha khinchen na istiKHara karen
usi se lafz bane man bhi ek hai jin mein
to kaise harf ki be-hurmati gawara karen
usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne baKHsha
kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen
shuur-e-sher ne wo aankh khol di dil mein
ki ab to hum pas-e-imkan bhi nazara karen
firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain
KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen
ilahi khol de hum par dar-e-madina-e-ilm
ali ali isi ummid par pukara karen
asa nahin na sahi hum faqir log magar
hon mauj mein to talatum ko hi kinara karen
KHuda ka shukr hai sab zar-pasand jah-talab
hamari sohbat-e-be-faiz se kinara karen
mile jo waqt to 'anjum' ba-surat-e-diwan
murattab apni riyazat ka goshwara karen
- Book : Samundar Men Utarta Hon (Pg. 87)
- Author : Anjum Khaliq
- Publication : Khaleeq Publication (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.