hum apni marzi ka wahshat-kada banaenge
ham apnī marzī kā vahshat-kada banā.eñge
ḳhalā banāyā to siina khulā banā.eñge
jo le ke jaatā huuñ ḳhvāboñ ke dā.eroñ se pare
ham apnī raat meñ vo rāsta banā.eñge
vo sard shaam meñ chhuptā huā nahīf badan
kahīñ milā to use aag kā banā.eñge
tarīr ḳhaak uḌā.eñge apnī miTTī se
aur ism paḌh ke use fāḳhta banā.eñge
miTā.eñge kabhī farq-e-nabūd-o-būd-e-jahāñ
aur ik jahān ko bantā huā banā.eñge
hum apni marzi ka wahshat-kada banaenge
KHala banaya to sina khula banaenge
jo le ke jata hun KHwabon ke daeron se pare
hum apni raat mein wo rasta banaenge
wo sard sham mein chhupta hua nahif badan
kahin mila to use aag ka banaenge
tarir KHak uDaenge apni miTTi se
aur ism paDh ke use faKHta banaenge
miTaenge kabhi farq-e-nabud-o-bud-e-jahan
aur ek jahan ko banta hua banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.