hum apni talKH yaadon ko bhi dafnane nahin jate
ham apnī talḳh yādoñ ko bhī dafnāne nahīñ jaate
ġharaz ab ham kahīñ bhī dil ko bahlāne nahīñ jaate
ta.āruf az-sar-e-nau un se merā kyā qayāmat hai
purāne yaar bhī ab un se pahchāne nahīñ jaate
maiñ huuñ ik lamha-e-maujūd siine se lagā mujh ko
ki maazī meñ dil-e-nādāñ ko uljhāne nahīñ jaate
na kar kuchh ranj ki hālāt ban jaate haiñ aise hī
kisī ke sar pe kuchh ilzām Thahrāne nahīñ jaate
ye merā ġham bhī to apnī mirī taḳhlīq hai varna
kisī ke dil meñ ḳhud uTh kar to vīrāne nahīñ jaate
use le kar mire dil meñ rahe vahm-o-gumāñ barsoñ
jo aa.e the ḳhudā ban kar ḳhudā maane nahīñ jaate
binā māñge bhī mil jaate haiñ ranj-o-ġham zamāne se
samajh lete agar ye ham to pachhtāne nahīñ jaate
hum apni talKH yaadon ko bhi dafnane nahin jate
gharaz ab hum kahin bhi dil ko bahlane nahin jate
taaruf az-sar-e-nau un se mera kya qayamat hai
purane yar bhi ab un se pahchane nahin jate
main hun ek lamha-e-maujud sine se laga mujh ko
ki mazi mein dil-e-nadan ko uljhane nahin jate
na kar kuchh ranj ki haalat ban jate hain aise hi
kisi ke sar pe kuchh ilzam Thahrane nahin jate
ye mera gham bhi to apni meri taKHliq hai warna
kisi ke dil mein KHud uTh kar to virane nahin jate
use le kar mere dil mein rahe wahm-o-guman barson
jo aae the KHuda ban kar KHuda mane nahin jate
bina mange bhi mil jate hain ranj-o-gham zamane se
samajh lete agar ye hum to pachhtane nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.