Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain

Shaukat Wasti

hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain

Shaukat Wasti

MORE BYShaukat Wasti

    ham aziiz is qadar ab ziyāñ rakhte haiñ

    dost bhī rakhte haiñ to dushman-e-jāñ rakhte haiñ

    tab.an insān to dil-dāda-e-fasl-e-gul hai

    ham ajab log haiñ jo zauq-e-ḳhizāñ rakhte haiñ

    āriz-e-gul ho lab-e-yār ho jām-e-mai ho

    jism jal uThtā hai ham hoñT jahāñ rakhte haiñ

    vāqi.a ye bhī hai haq baat nahīñ kah sakte

    ye bhī da.avā hai bajā muñh meñ zabāñ rakhte haiñ

    jis jagah dil thā vahāñ hasrat-e-dil baaqī hai

    jis jagah zaḳhm thā ab ek nishāñ rakhte haiñ

    ham se kar jaatā hai vo shaḳhs fareb āḳhir-kār

    jis ke baare meñ bhī ham nek gumāñ rakhte haiñ

    'shaukat' uslūb-e-ġhazal hai muta.ayyan tāham

    is meñ ham munfarid andāz-e-bayāñ rakhte haiñ

    hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain

    dost bhi rakhte hain to dushman-e-jaan rakhte hain

    taban insan to dil-dada-e-fasl-e-gul hai

    hum ajab log hain jo zauq-e-KHizan rakhte hain

    aariz-e-gul ho lab-e-yar ho jam-e-mai ho

    jism jal uThta hai hum honT jahan rakhte hain

    waqia ye bhi hai haq baat nahin kah sakte

    ye bhi dawa hai baja munh mein zaban rakhte hain

    jis jagah dil tha wahan hasrat-e-dil baqi hai

    jis jagah zaKHm tha ab ek nishan rakhte hain

    hum se kar jata hai wo shaKHs fareb aaKHir-kar

    jis ke bare mein bhi hum nek guman rakhte hain

    'shaukat' uslub-e-ghazal hai mutayyan taham

    is mein hum munfarid andaz-e-bayan rakhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now