hum badalte nahin badalte hain
ham badalte nahīñ badalte haiñ
is liye ham se log jalte haiñ
vaqt kā kaun intizār kare
chal zamāne ke saath chalte haiñ
ġham nikalte to haiñ pe gāh-ba-gāh
aah ke Dar se kam nikalte haiñ
aap hī umr kā ḳhayāl kareñ
ye to armān haiñ machalte haiñ
tum na aao to merī āñkhoñ meñ
phuul khilte nahīñ haiñ khilte haiñ
chāñd ke saath ham ubharte haiñ
log sūraj ke saath Dhalte haiñ
hum badalte nahin badalte hain
is liye hum se log jalte hain
waqt ka kaun intizar kare
chal zamane ke sath chalte hain
gham nikalte to hain pe gah-ba-gah
aah ke Dar se kam nikalte hain
aap hi umr ka KHayal karen
ye to arman hain machalte hain
tum na aao to meri aankhon mein
phul khilte nahin hain khilte hain
chand ke sath hum ubharte hain
log suraj ke sath Dhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.