hum baDe dasht-e-bala se guzre
Interesting Fact
1976
ham baḌe dasht-e-balā se guzre
un se guzre na ḳhudā se guzre
bārhā shahr-e-vafā se guzre
ek sunsān fazā se guzre
ham ne har baar dar-e-dil kholā
hādse terī adā se guzre
dil meñ bikhre the tirī yaad ke phuul
ġham ke lashkar bhī sabā se guzre
talḳh yādoñ meñ thī ḳhushbu-e-vafā
ab ke jab kū-e-jafā se guzre
har qadam tiir malāmat ke chale
laakh ham sidq-o-safā se guzre
ab hai tanhā.ī-e-dasht-e-furqat
raunaq-e-kū-e-jafā se guzre
hum baDe dasht-e-bala se guzre
un se guzre na KHuda se guzre
barha shahr-e-wafa se guzre
ek sunsan faza se guzre
hum ne har bar dar-e-dil khola
hadse teri ada se guzre
dil mein bikhre the teri yaad ke phul
gham ke lashkar bhi saba se guzre
talKH yaadon mein thi KHushbu-e-wafa
ab ke jab ku-e-jafa se guzre
har qadam tir malamat ke chale
lakh hum sidq-o-safa se guzre
ab hai tanhai-e-dasht-e-furqat
raunaq-e-ku-e-jafa se guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.