hum bin gham-e-yar bhi jiye hain
ham bin ġham-e-yār bhī jiye haiñ
marne ke baḌe jatan kiye haiñ
maḳhfī tujh se bhī haiñ ġham-e-yār
kuchh vaar jo dil ne sah liye haiñ
dil se bhī chhupā ke ham ne rakkhe
kuchh chaak jo umr bhar siye haiñ
kuchh ḳhūn-e-vafā se kuchh hinā se
kyā rañg bahār ne liye haiñ
afsos hamārī saḳht-jānī
ahbāb ne bhī gile kiye haiñ
gulshan meñ ajab havā chalī hai
phūloñ ne hoñT sī liye haiñ
dil-bāḳhtagī o sher-ḳhvānī
do kaam to umr bhar kiye haiñ
kahte the tujhī ko jaan apnī
aur tere baġhair bhī jiye haiñ
hum bin gham-e-yar bhi jiye hain
marne ke baDe jatan kiye hain
maKHfi tujh se bhi hain gham-e-yar
kuchh war jo dil ne sah liye hain
dil se bhi chhupa ke hum ne rakkhe
kuchh chaak jo umr bhar siye hain
kuchh KHun-e-wafa se kuchh hina se
kya rang bahaar ne liye hain
afsos hamari saKHt-jaani
ahbab ne bhi gile kiye hain
gulshan mein ajab hawa chali hai
phulon ne honT si liye hain
dil-baKHtagi o sher-KHwani
do kaam to umr bhar kiye hain
kahte the tujhi ko jaan apni
aur tere baghair bhi jiye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.