hum buzurgon se Darne wale hain
ham buzurgoñ se Darne vaale haiñ
vāqiatan bichhaḌne vaale haiñ
raat hote hī niiñd aatī hai
ya.anī sab ḳhvāb marne vaale haiñ
vo bhī ḳhud ko sudhār baiThī hai
aur ham bhī sudharne vaale haiñ
koī imkān to nahīñ phir bhī
us galī se guzarne vaale haiñ
merī dahlīz se aḌe jugnū
terī chaukhaT pe marne vaale haiñ
ishq nuqsān uThā.egā 'ahmad'
aap ham se mukarne vaale haiñ
hum buzurgon se Darne wale hain
waqiatan bichhaDne wale hain
raat hote hi nind aati hai
yani sab KHwab marne wale hain
wo bhi KHud ko sudhaar baiThi hai
aur hum bhi sudharne wale hain
koi imkan to nahin phir bhi
us gali se guzarne wale hain
meri dahliz se aDe jugnu
teri chaukhaT pe marne wale hain
ishq nuqsan uThaega 'ahmad'
aap hum se mukarne wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.