hum chehra-e-zunnar ko puja nahin karte
ham chehra-e-zunnār ko puujā nahīñ karte
ya.anī dil-e-ḳhuddār ko rusvā nahīñ karte
ham dāman-e-pindār ko mailā nahīñ karte
ajdād ke kirdār ko bechā nahīñ karte
ai ahl-e-vatan aap se itnī hai guzārish
sīñche hue gulzār ko rauñdā nahīñ karte
kashtī ko kināre pe le aanā hī bahut hai
girdāb-e-zarar-bār ko rokā nahīñ karte
taḳhrīb hī ta.amīr kī buniyād hai yaaro
ujḌe hue ghar-bār ko royā nahīñ karte
gulzār ke phūloñ kī hifāzat hai ibādat
'rāhī' to kabhī ḳhaar ko sīñchā nahīñ karte
hum chehra-e-zunnar ko puja nahin karte
yani dil-e-KHuddar ko ruswa nahin karte
hum daman-e-pindar ko maila nahin karte
ajdad ke kirdar ko becha nahin karte
ai ahl-e-watan aap se itni hai guzarish
sinche hue gulzar ko raunda nahin karte
kashti ko kinare pe le aana hi bahut hai
girdab-e-zarar-bar ko roka nahin karte
taKHrib hi tamir ki buniyaad hai yaro
ujDe hue ghar-bar ko roya nahin karte
gulzar ke phulon ki hifazat hai ibaadat
'rahi' to kabhi KHar ko sincha nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.