hum dil-e-zohra-washan mein Khaaliq-e-andesh hain
ham dil-e-zohra-vashāñ meñ ḳhāliq-e-andesh haiñ
go ḳharābātī sahī jibrīl ke ham-pesha haiñ
pairvī-e-vā.izān-e-shahr meñ buzdil haiñ ham
aur ġhazāloñ kā ta.āqub ho to sher-e-besha haiñ
jāniye kyā kyā madārij aur bhī karne haiñ tai
ham abhī zehn-e-ḳhudā-vandī meñ ik andesha haiñ
ḳhisht-o-sañg-e-nā-tarāshīda se ubhrā ḳhadd-e-husn
mai-gusāroñ kī nigāheñ haiñ ki zarb-e-tesha haiñ
ham nahīñ haiñ kohkan lekin hamārī yādgār
vaqt ke koh-e-girāñ par kuchh nuqūsh-e-tesha haiñ
hum dil-e-zohra-washan mein KHaliq-e-andesh hain
go KHarabaati sahi jibril ke ham-pesha hain
pairwi-e-waizan-e-shahr mein buzdil hain hum
aur ghazalon ka taaqub ho to sher-e-besha hain
jaaniye kya kya madarij aur bhi karne hain tai
hum abhi zehn-e-KHuda-wandi mein ek andesha hain
KHisht-o-sang-e-na-tarashida se ubhra KHadd-e-husn
mai-gusaron ki nigahen hain ki zarb-e-tesha hain
hum nahin hain kohkan lekin hamari yaadgar
waqt ke koh-e-giran par kuchh nuqush-e-tesha hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.