hum dil ko liye bar-sar-e-bazar khaDe hain
hum dil ko liye bar-sar-e-bazar khaDe hain
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ham dil ko liye bar-sar-e-bāzār khaḌe haiñ
hairān-e-tamannā-e-ḳharīdār khaḌe haiñ
ġhairoñ se vo ḳhalvat meñ hai mashġhūl-e-zarāfat
ham rashk ke maare pas-e-dīvār khaḌe haiñ
un sharm-zadoñ ko bhī bulā sāmne apne
jo sharm ke maare pas-e-dīvār khaḌe haiñ
az-bahr-e-ḳhudā baam par aa ai but-e-kāfir
kūche meñ tire tālib-e-dīdār khaḌe haiñ
Dhab pā.ūñ to maiñ us se kahūñ hāl-e-dil apnā
is but ko to ghere hue aġhyār khaḌe haiñ
hai us kī savārī kī ḳhabar sair-e-chaman ko
aur ahl-e-tamāshā sar-e-bāzār khaḌe haiñ
juuñ naqsh-e-qadam baiThne kī jā nahīñ miltī
is kūche meñ ham is liye nā-chār khaḌe haiñ
kūcha hai tirā va.ada-gah-e-ḳhalq ki jis meñ
do-chār jo baiThe haiñ to do-chār khaḌe haiñ
ho azm-e-safar tujh ko to ai 'mus.hafī' ab bhī
chalne ke liye qāfile tayyār khaḌe haiñ
hum dil ko liye bar-sar-e-bazar khaDe hain
hairan-e-tamanna-e-KHaridar khaDe hain
ghairon se wo KHalwat mein hai mashghul-e-zarafat
hum rashk ke mare pas-e-diwar khaDe hain
un sharm-zadon ko bhi bula samne apne
jo sharm ke mare pas-e-diwar khaDe hain
az-bahr-e-KHuda baam par aa ai but-e-kafir
kuche mein tere talib-e-didar khaDe hain
Dhab paun to main us se kahun haal-e-dil apna
is but ko to ghere hue aghyar khaDe hain
hai us ki sawari ki KHabar sair-e-chaman ko
aur ahl-e-tamasha sar-e-bazar khaDe hain
jun naqsh-e-qadam baiThne ki ja nahin milti
is kuche mein hum is liye na-chaar khaDe hain
kucha hai tera wada-gah-e-KHalq ki jis mein
do-chaar jo baiThe hain to do-chaar khaDe hain
ho azm-e-safar tujh ko to ai 'mushafi' ab bhi
chalne ke liye qafile tayyar khaDe hain
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 201)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.