hum dilon ke qurb ka munh dekhte rah jaenge
ham diloñ ke qurb kā muñh dekhte rah jā.eñge
yaad rah jā.egī yā kuchh ḳhvāb se rah jā.eñge
is tazabzub meñ mirī mehnat akārat jā.egī
ḳhud hī vo aa jā.eñge aur ḳhat likhe rah jā.eñge
ham fasīl-e-āb-o-gil meñ dar banāne ke liye
vaqt ke tah-ḳhāne meñ sar pīTte rah jā.eñge
apne chehre takte takte phir sahar ho jā.egī
kyā kaheñ ik dūsre ko sochte rah jā.eñge
vo mirā ho jā.egā ai 'shāh' āḳhir ek din
sochtā huuñ phir bhī us se kuchh gile rah jā.eñge
hum dilon ke qurb ka munh dekhte rah jaenge
yaad rah jaegi ya kuchh KHwab se rah jaenge
is tazabzub mein meri mehnat akarat jaegi
KHud hi wo aa jaenge aur KHat likhe rah jaenge
hum fasil-e-ab-o-gil mein dar banane ke liye
waqt ke tah-KHane mein sar piTte rah jaenge
apne chehre takte takte phir sahar ho jaegi
kya kahen ek dusre ko sochte rah jaenge
wo mera ho jaega ai 'shah' aaKHir ek din
sochta hun phir bhi us se kuchh gile rah jaenge
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 299)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.