hum donon ne nam likha tha sahil par
ham donoñ ne naam likhā thā sāhil par
aur dil kā paiġhām likhā thā sāhil par
tanhā.ī thī aur sunahrī lahreñ thiiñ
sūraj ne jab shaam likhā thā sāhil par
ghar meñ to har sū thā vahshat kā saaya
qismat meñ ārām likhā thā sāhil par
ik sādhū ne raakh malī thī chehre par
aur poroñ se raam likhā thā sāhil par
kuud ga.e sab riñd samundar meñ 'shāhid'
saaqī ne bas jaam likhā thā sāhil par
hum donon ne nam likha tha sahil par
aur dil ka paigham likha tha sahil par
tanhai thi aur sunahri lahren thin
suraj ne jab sham likha tha sahil par
ghar mein to har su tha wahshat ka saya
qismat mein aaram likha tha sahil par
ek sadhu ne rakh mali thi chehre par
aur poron se ram likha tha sahil par
kud gae sab rind samundar mein 'shahid'
saqi ne bas jam likha tha sahil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.