ham-dosh-e-arzu jo na ‘azm-e-jawan rahe
ham-dosh-e-ārzū jo na ‘azm-e-javāñ rahe
manzil rahe koī na koī kārvāñ rahe
rūhoñ ke ek ḳhaas ta'alluq ke bāvajūd
jismoñ ke fāsle bhī sadā darmiyāñ rahe
soz-e-ḳhulūs dard-e-mohabbat ġham-e-vafā
ye qāfila bhī saath rahā ham jahāñ rahe
ham ‘ālam-e-ḳhayāl se aage na baḌh sake
jab tak ḳharāb-e-manzil-e-vahm-o-gumāñ rahe
ai inqalāb-e-nau tirī raftār dekh kar
ḳhud ham bhī sochte haiñ ki ab tak kahāñ rahe
go manzil-e-hayāt bahut saḳht hai magar
'shaukat' hujūm-e-ġham meñ bhī ham shādmāñ rahe
ham-dosh-e-arzu jo na ‘azm-e-jawan rahe
manzil rahe koi na koi karwan rahe
ruhon ke ek KHas ta'alluq ke bawajud
jismon ke fasle bhi sada darmiyan rahe
soz-e-KHulus dard-e-mohabbat gham-e-wafa
ye qafila bhi sath raha hum jahan rahe
hum ‘alam-e-KHayal se aage na baDh sake
jab tak KHarab-e-manzil-e-wahm-o-guman rahe
ai inqalab-e-nau teri raftar dekh kar
KHud hum bhi sochte hain ki ab tak kahan rahe
go manzil-e-hayat bahut saKHt hai magar
'shaukat' hujum-e-gham mein bhi hum shadman rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.