hum dur dur ho ke bhi hote hain aas-pas
ham duur duur ho ke bhī hote haiñ ās-pās
paate dayār-e-ġhair meñ khote haiñ ās-pās
hai be-ḳhudī ki tark-e-ta.alluq na pūchhiyo
tanhā.ī ke gazīda haiñ hote haiñ ās-pās
koī nahīñ hai shahr-e-ḳhamoshāñ meñ yār-dost
sab apne aap hañste haiñ rote haiñ ās-pās
kyā kījiye nifāq-o-hasad kīna-parvarī
karte kashīd haiñ kahīñ bote haiñ ās-pās
dil ke ta.alluqāt haiñ dil ke ta.alluqāt
yaañ dil se ġhair ġhair bhī sote haiñ ās-pās
hai mail sab jahāñ kā huā us taraf hī jam.a
jo kuchh bhī gard-e-rāh hai dhote haiñ ās-pās
hum dur dur ho ke bhi hote hain aas-pas
pate dayar-e-ghair mein khote hain aas-pas
hai be-KHudi ki tark-e-talluq na puchhiyo
tanhai ke gazida hain hote hain aas-pas
koi nahin hai shahr-e-KHamoshan mein yar-dost
sab apne aap hanste hain rote hain aas-pas
kya kijiye nifaq-o-hasad kina-parwari
karte kashid hain kahin bote hain aas-pas
dil ke talluqat hain dil ke talluqat
yan dil se ghair ghair bhi sote hain aas-pas
hai mail sab jahan ka hua us taraf hi jama
jo kuchh bhi gard-e-rah hai dhote hain aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.