hum ehtiyat ki aisi misal dete hain
ham ehtiyāt kī aisī misāl dete haiñ
tumhārā zikr bhī aa.e to Taal dete haiñ
dikhāte phirte nahīñ dil ke zaḳhm duniyā ko
tamām dard ko sheroñ meñ Dhaal dete haiñ
tumheñ bhulāne kī koshish meñ be-sabab ham bhī
ḳhud apne aap ko mushkil meñ Daal dete haiñ
ham intiḳhāb meñ ziyāda nahīñ ulajhte haiñ
agar ġharaz paḌe sikka uchhāl dete haiñ
hameñ qubūl nahīñ chhoTā muñh baḌī bāteñ
misāl bante haiñ aur phir misāl dete haiñ
hum ehtiyat ki aisi misal dete hain
tumhaara zikr bhi aae to Tal dete hain
dikhate phirte nahin dil ke zaKHm duniya ko
tamam dard ko sheron mein Dhaal dete hain
tumhein bhulane ki koshish mein be-sabab hum bhi
KHud apne aap ko mushkil mein Dal dete hain
hum intiKHab mein ziyaada nahin ulajhte hain
agar gharaz paDe sikka uchhaal dete hain
hamein qubul nahin chhoTa munh baDi baaten
misal bante hain aur phir misal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.