hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair
ham ġhair samajhte use aisā bhī nahīñ ḳhair
lekin vo kisī kā nahīñ apnā bhī nahīñ ḳhair
jo sochte rahte haiñ vo karnā nahīñ mumkin
karne ke irāde se to sochā bhī nahīñ ḳhair
shohrā hai ki rusvā.ī kī tasdīq hai vo shaḳhs
shohrat kā bharosa koī hotā bhī nahīñ ḳhair
kuchh ban ke dikhāne kī tamannā kā banā kyā
itnī sī tamannā meñ to bantā bhī nahīñ ḳhair
ham us ke liye apnī nazar meñ bure Thahreñ
achchhā hai vo achchhā bha.ī itnā bhī nahīñ ḳhair
kuchh saiñt ke rakhne kā hameñ shauq nahīñ thā
kuchh saiñt ke rakhne ke liye thā bhī nahīñ ḳhair
go ek aziyyat hai tirā rañg-e-taġhāful
ye rañg kisī aur pe sajtā bhī nahīñ ḳhair
us shaḳhs pe tanhā.ī to utregī balā kī
jo hai bhī nahīñ ḳhair hai lagtā bhī nahīñ ḳhair
sab ḳhair ho sab ḳhair ho ai majma-e-zāhir
ham bhiiḌ kā hissa nahīñ tanhā bhī nahīñ ḳhair
ye ḳhair faqat lafz nahīñ fahm-o-yaqīñ hai
jo ḳhair samajhtā nahīñ hotā bhī nahīñ ḳhair
hum ghair samajhte use aisa bhi nahin KHair
lekin wo kisi ka nahin apna bhi nahin KHair
jo sochte rahte hain wo karna nahin mumkin
karne ke irade se to socha bhi nahin KHair
shohra hai ki ruswai ki tasdiq hai wo shaKHs
shohrat ka bharosa koi hota bhi nahin KHair
kuchh ban ke dikhane ki tamanna ka bana kya
itni si tamanna mein to banta bhi nahin KHair
hum us ke liye apni nazar mein bure Thahren
achchha hai wo achchha bhai itna bhi nahin KHair
kuchh saint ke rakhne ka hamein shauq nahin tha
kuchh saint ke rakhne ke liye tha bhi nahin KHair
go ek aziyyat hai tera rang-e-taghaful
ye rang kisi aur pe sajta bhi nahin KHair
us shaKHs pe tanhai to utregi bala ki
jo hai bhi nahin KHair hai lagta bhi nahin KHair
sab KHair ho sab KHair ho ai majma-e-zahir
hum bhiD ka hissa nahin tanha bhi nahin KHair
ye KHair faqat lafz nahin fahm-o-yaqin hai
jo KHair samajhta nahin hota bhi nahin KHair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.