hum gham-e-zamana se yun nazar milaenge
ham ġham-e-zamāna se yuuñ nazar milā.eñge
mushkileñ paḌeñgī jab aur muskurā.eñge
phir bahār aa.egī phuul muskurā.eñge
phir junūñ ke afsāne ham ko yaad ā.eñge
zāhirī tapāk un kā de gayā hameñ dhokā
ye samajh rahe the ham dil se dil milā.eñge
āsmāñ ke sah paaro tez-gām sayyāro
an-qarīb tum se bhī ham qadam milā.eñge
jāduī ḳhirad hai vo ye junūñ kī manzil hai
tum idhar na aaoge ham udhar na jā.eñge
vo hazār Thukrā.e ham se ruuTh bhī jaa.e
zindagī ko ḳhud baḌh kar ham gale lagā.eñge
aaj to 'jamālī' ko bazm se uThāte haiñ
ek din zarūr us ko aap phir bulā.eñge
hum gham-e-zamana se yun nazar milaenge
mushkilen paDengi jab aur muskuraenge
phir bahaar aaegi phul muskuraenge
phir junun ke afsane hum ko yaad aaenge
zahiri tapak un ka de gaya hamein dhoka
ye samajh rahe the hum dil se dil milaenge
aasman ke sah paro tez-gam sayyaro
an-qarib tum se bhi hum qadam milaenge
jadui KHirad hai wo ye junun ki manzil hai
tum idhar na aaoge hum udhar na jaenge
wo hazar Thukrae hum se ruTh bhi jae
zindagi ko KHud baDh kar hum gale lagaenge
aaj to 'jamali' ko bazm se uThate hain
ek din zarur us ko aap phir bulaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.