hum hain aur rah-e-ku-e-badnami
ham haiñ aur rāh-e-kū-e-badnāmī
marhabā ai havā-e-ḳhush-kāmī
us kā dil apne haq meñ pāra-e-sañg
ḳhatm hai jis pe nāzuk-andāmī
ham ne shikva kabhī kiyā na kareñ
shikva hai e'tirāf nākāmī
kalma-e-haq kaheñ to ham jāneñ
varna kyā rustamī o bahrāmī
pahle maḳhtūn aql ko kar leñ
zindagī phir banā.eñ islāmī
sar muñDāte haiñ ham se aa ke ḳhayāl
apnā pesha huā hai hajjāmī
hum hain aur rah-e-ku-e-badnami
marhaba ai hawa-e-KHush-kaami
us ka dil apne haq mein para-e-sang
KHatm hai jis pe nazuk-andami
hum ne shikwa kabhi kiya na karen
shikwa hai e'tiraf nakaami
kalma-e-haq kahen to hum jaanen
warna kya rustami o bahrami
pahle maKHtun aql ko kar len
zindagi phir banaen islami
sar munDate hain hum se aa ke KHayal
apna pesha hua hai hajjami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.