Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hain hushiyar kya irada hai

Raunaq Tonkvi

hum hain hushiyar kya irada hai

Raunaq Tonkvi

MORE BYRaunaq Tonkvi

    ham haiñ hushiyār kyā irāda hai

    nigah-e-yār kyā irāda hai

    kushta-e-chashm-e-mast hai ik ḳhalq

    ai lab-e-yār kyā irāda hai

    nahīñ aa.e vo aur nahīñ aate

    nāla-e-zār kyā irāda hai

    sa.ī-e-dilkash ḳhayāl-e-jān-e-parvar

    talab-e-yār kyā irāda hai

    mol letā hai dard de kar dil

    raunaq-e-zār kyā irāda hai

    hum hain hushiyar kya irada hai

    nigah-e-yar kya irada hai

    kushta-e-chashm-e-mast hai ek KHalq

    ai lab-e-yar kya irada hai

    nahin aae wo aur nahin aate

    nala-e-zar kya irada hai

    sai-e-dilkash KHayal-e-jaan-e-parwar

    talab-e-yar kya irada hai

    mol leta hai dard de kar dil

    raunaq-e-zar kya irada hai

    Source :
    • Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 126)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now