hum hain jinhon ne nam-e-chaman bu nahin kiya
ham haiñ jinhoñ ne nām-e-chaman bū nahīñ kiyā
aa.ī sabā jidhar se udhar rū nahīñ kiyā
ham haiñ havā-e-vasl meñ us gul kī dar-ba-dar
jis kā sabā ne tauf-e-sar-e-kū nahīñ kiyā
vo ḳhūb-rū hai kaun sā jag meñ farishta-vash
do roz mil ke ham jise bad-ḳhū nahīñ kiyā
'qā.em' ko is tarah se tū detā hai gāliyāñ
jis ko kisī ne aaj talak tū nahīñ kiyā
hum hain jinhon ne nam-e-chaman bu nahin kiya
aai saba jidhar se udhar ru nahin kiya
hum hain hawa-e-wasl mein us gul ki dar-ba-dar
jis ka saba ne tauf-e-sar-e-ku nahin kiya
wo KHub-ru hai kaun sa jag mein farishta-wash
do roz mil ke hum jise bad-KHu nahin kiya
'qaem' ko is tarah se tu deta hai galiyan
jis ko kisi ne aaj talak tu nahin kiya
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.