hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin
hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
ham is dayār ke is ḳhāk-dāñ ke the hī nahīñ
vahīñ pe aa ke base haiñ jahāñ ke the hī nahīñ
the jis kā markazī kirdār ek umr talak
pata chalā ki usī dāstāñ ke the hī nahīñ
safar se lauT ke hairat huī parinde ko
ye ḳhār-o-ḳhas to mire āshiyāñ ke the hī nahīñ
har ek rañg meñ dekhā hai us ko āñkhoñ ne
ye rañg pahle kabhī āsmāñ ke the hī nahīñ
hameñ bahār ke mausam meñ le uḌī hai havā
vo barg-e-zard haiñ ham jo ḳhizāñ ke the hī nahīñ
isī liye nahīñ rakkhā hisāb sāñsoñ kā
ki mas.ale kabhī sūd-o-ziyāñ ke the hī nahīñ
talāsh karte ho kyuuñ 'shād' guzre lamhoñ ko
vo rāh-rau to kisī kārvāñ ke the hī nahīñ
hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin
wahin pe aa ke base hain jahan ke the hi nahin
the jis ka markazi kirdar ek umr talak
pata chala ki usi dastan ke the hi nahin
safar se lauT ke hairat hui parinde ko
ye KHar-o-KHas to mere aashiyan ke the hi nahin
har ek rang mein dekha hai us ko aankhon ne
ye rang pahle kabhi aasman ke the hi nahin
hamein bahaar ke mausam mein le uDi hai hawa
wo barg-e-zard hain hum jo KHizan ke the hi nahin
isi liye nahin rakkha hisab sanson ka
ki masale kabhi sud-o-ziyan ke the hi nahin
talash karte ho kyun 'shad' guzre lamhon ko
wo rah-rau to kisi karwan ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.