hum is tamiz ke sath uske pas baiThte hain
ham is tamīz ke saath us ke paas baiThte haiñ
ki jaise shaah ke qadmoñ meñ daas baiThte haiñ
bas ek tū hai jise dost boltā huuñ maiñ
vagarna saath meñ aise pachās baiThte haiñ
maiñ is liye bhī kabhī khul ke hañs nahīñ paatā
udaas log mire ās-pās baiThte haiñ
biThāte vaqt mujhe dil meñ ye kahā us ne
ye vo jagah haiñ jahāñ log ḳhaas baiThte haiñ
hum is tamiz ke sath us ke pas baiThte hain
ki jaise shah ke qadmon mein das baiThte hain
bas ek tu hai jise dost bolta hun main
wagarna sath mein aise pachas baiThte hain
main is liye bhi kabhi khul ke hans nahin pata
udas log mere aas-pas baiThte hain
biThate waqt mujhe dil mein ye kaha us ne
ye wo jagah hain jahan log KHas baiThte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.