hum ishq ke safar mein sarabon mein kho gae
ham 'ishq ke safar meñ sarāboñ meñ kho ga.e
rāh-e-junūñ pe chal ke ḳharāboñ meñ kho ga.e
kuchh phuul saj ga.e haiñ mohabbat kī sej par
murjhā ke chand phuul kitāboñ meñ kho ga.e
pyāsī hai gar zamīn to pyāsā hai āsmāñ
bārish ke qatre tishna sahāboñ meñ kho ga.e
shīrīñ laboñ se jaane vo kyā boltā rahā
ham nīm-vā laboñ ke gulāboñ meñ kho ga.e
paimāne bhar ke jab diye saaqī ne be-hijāb
murshid murīd piir sharāboñ meñ kho ga.e
detā rahā javāb vo har ik savāl kā
saare savāl us ke javāboñ meñ kho ga.e
maañ kī du'ā.eñ āfatoñ ko Tāltī rahīñ
maañ se bichhaḌ ke saḳht 'azāboñ meñ kho ga.e
din bhar ḳhayāl-e-yār meñ tum gum rahe 'sahāb'
Dhalte hī raat yaar ke ḳhvāboñ meñ kho ga.e
hum 'ishq ke safar mein sarabon mein kho gae
rah-e-junun pe chal ke KHarabon mein kho gae
kuchh phul saj gae hain mohabbat ki sej par
murjha ke chand phul kitabon mein kho gae
pyasi hai gar zamin to pyasa hai aasman
barish ke qatre tishna sahabon mein kho gae
shirin labon se jaane wo kya bolta raha
hum nim-wa labon ke gulabon mein kho gae
paimane bhar ke jab diye saqi ne be-hijab
murshid murid pir sharabon mein kho gae
deta raha jawab wo har ek sawal ka
sare sawal us ke jawabon mein kho gae
man ki du'aen aafaton ko Talti rahin
man se bichhaD ke saKHt 'azabon mein kho gae
din bhar KHayal-e-yar mein tum gum rahe 'sahab'
Dhalte hi raat yar ke KHwabon mein kho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.