aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-jins agar mile na koi aasman par

Shakeb Jalali

ham-jins agar mile na koi aasman par

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    ham-jins agar mile na koī āsmān par

    behtar hai ḳhaak Dāliye aisī uḌaan par

    aa kar girā thā koī parinda lahū meñ tar

    tasvīr apnī chhoḌ gayā hai chaTān par

    pūchho samundaroñ se kabhī ḳhaak pata

    dekho havā naqsh kabhī bādbān par

    yaaro maiñ is nazar bulandī ko kyā karūñ

    saaya bhī apnā dekhtā huuñ āsmān par

    kitne zaḳhm haiñ mire ik zaḳhm meñ chhupe

    kitne tiir aane lage ik nishān par

    jal-thal huī tamām zamīñ ās-pās

    paanī buuñd bhī na girī sā.ebān par

    malbūs ḳhush-numā haiñ magar jism khokhle

    chhilke saje hoñ jaise phaloñ dukān par

    saaya nahīñ thā niiñd āñkhoñ meñ duur tak

    bikhre the raushnī ke nagīñ āsmān par

    haq baat aa ke ruk ga.ī thī kabhī 'shakeb'

    chhāle paḌe hue haiñ abhī tak zabān par

    ham-jins agar mile na koi aasman par

    behtar hai KHak Daliye aisi uDan par

    aa kar gira tha koi parinda lahu mein tar

    taswir apni chhoD gaya hai chaTan par

    puchho samundaron se kabhi KHak ka pata

    dekho hawa ka naqsh kabhi baadban par

    yaro main is nazar ki bulandi ko kya karun

    saya bhi apna dekhta hun aasman par

    kitne hi zaKHm hain mere ek zaKHm mein chhupe

    kitne hi tir aane lage ek nishan par

    jal-thal hui tamam zamin aas-pas ki

    pani ki bund bhi na giri saeban par

    malbus KHush-numa hain magar jism khokhle

    chhilke saje hon jaise phalon ki dukan par

    saya nahin tha nind ka aankhon mein dur tak

    bikhre the raushni ke nagin aasman par

    haq baat aa ke ruk si gai thi kabhi 'shakeb'

    chhaale paDe hue hain abhi tak zaban par

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ham-jins agar mile na koi aasman par Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now