hum jo is shahr mein anjaan hue jate hain
ham jo is shahr meñ anjān hue jaate haiñ
saare rishte bhī to be-jān hue jaate haiñ
ab hameñ chāhiye ki tark-e-ta'alluq kar leñ
ek duuje se pareshān hue jaate haiñ
vo sar-e-bazm hameñ aap se kartā hai ḳhitāb
aur ham is pe pashemān hue jaate haiñ
pech-dar-pech huī jaatī hai duniyā ham par
jaane kyoñ us pe ham āsān hue jaate haiñ
kaun guzrā hai abhī dahr se jis ke ġham meñ
saare manzar hī bayābān hue jaate haiñ
rang laa.ī hai kuchh is tarh se ye tishna-labī
ham ab ik dasht kā 'unvān hue jaate haiñ
hum jo is shahr mein anjaan hue jate hain
sare rishte bhi to be-jaan hue jate hain
ab hamein chahiye ki tark-e-ta'alluq kar len
ek duje se pareshan hue jate hain
wo sar-e-bazm hamein aap se karta hai KHitab
aur hum is pe pasheman hue jate hain
pech-dar-pech hui jati hai duniya hum par
jaane kyon us pe hum aasan hue jate hain
kaun guzra hai abhi dahr se jis ke gham mein
sare manzar hi bayaban hue jate hain
rang lai hai kuchh is tarh se ye tishna-labi
hum ab ek dasht ka 'unwan hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.