Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jo mil baiThen to yak-jaan bhi ho sakte hain

Charkh Chinioti

hum jo mil baiThen to yak-jaan bhi ho sakte hain

Charkh Chinioti

MORE BYCharkh Chinioti

    ham jo mil baiTheñ to yak-jān bhī ho sakte haiñ

    puure apne sabhī armān bhī ho sakte haiñ

    tujh se is tarah pe aa pahuñchā hai rishta apnā

    bin bulā.e tire mehmān bhī ho sakte haiñ

    ham tire naam japte nahīñ maalā faqat

    ham tire naam pe qurbān bhī ho sakte haiñ

    dil meñ aane bhalā aap ko dāvat maiñ duuñ

    ghar ke mālik kabhī mehmān bhī ho sakte haiñ

    but-e-kāfir parastish pe koī qaid nahīñ

    pūjne vaale musalmān bhī ho sakte haiñ

    be-ruḳhī ne bhī bartī jo ḳhudāyā un se

    tujh se barham tire insān bhī ho sakte haiñ

    aaj jo gardish-e-daurāñ uḌāte haiñ mazāq

    kal vahī log pareshān bhī ho sakte haiñ

    jo samjhe mire armānoñ ahmiyyat ko

    mere armāñ tire armān bhī ho sakte haiñ

    jab ḳhatā karte the us vaqt na sochā ai 'charḳh'

    ham sar-e-hashr pashemān bhī ho sakte haiñ

    hum jo mil baiThen to yak-jaan bhi ho sakte hain

    pure apne sabhi arman bhi ho sakte hain

    tujh se is tarah pe aa pahuncha hai rishta apna

    bin bulae tere mehman bhi ho sakte hain

    hum tere nam ki japte nahin mala hi faqat

    hum tere nam pe qurban bhi ho sakte hain

    dil mein aane ki bhala aap ko dawat main dun

    ghar ke malik kabhi mehman bhi ho sakte hain

    but-e-kafir ki parastish pe koi qaid nahin

    pujne wale musalman bhi ho sakte hain

    be-ruKHi tu ne bhi barti jo KHudaya un se

    tujh se barham tere insan bhi ho sakte hain

    aaj jo gardish-e-dauran ka uDate hain mazaq

    kal wahi log pareshan bhi ho sakte hain

    tu jo samjhe mere armanon ki ahmiyyat ko

    mere arman tere arman bhi ho sakte hain

    jab KHata karte the us waqt na socha ai 'charKH'

    hum sar-e-hashr pasheman bhi ho sakte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now