hum kaamyab ho ke bhi nakaam rah gae
ham kāmyāb ho ke bhī nākām rah ga.e
iz.hār kuchh huā bhī to ib.hām rah ga.e
āzād ho ke juuñ hī khule mere bāl-o-par
mujh par khulā ki paañv tah-e-dām rah ga.e
maiñ de sakā na un ko kisī tajrabe kī aañch
afsos kuchh ḳhayāl mire ḳhaam rah ga.e
kartī rahī zabāñ mirī be-dast-o-pā mujhe
bātoñ meñ 'umr biit ga.ī kaam rah ga.e
maiñ raah dekhtā rahā yāroñ kī sub.h tak
'bāsir' bhare-bharā.e mire jaam rah ga.e
hum kaamyab ho ke bhi nakaam rah gae
izhaar kuchh hua bhi to ibham rah gae
aazad ho ke jun hi khule mere baal-o-par
mujh par khula ki panw tah-e-dam rah gae
main de saka na un ko kisi tajrabe ki aanch
afsos kuchh KHayal mere KHam rah gae
karti rahi zaban meri be-dast-o-pa mujhe
baaton mein 'umr bit gai kaam rah gae
main rah dekhta raha yaron ki subh tak
'basir' bhare-bharae mere jam rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.