hum kabhi shahr-e-mohabbat jo basane lag jaen
ham kabhī shahr-e-mohabbat jo basāne lag jaa.eñ
kabhī tūfān kabhī zalzale aane lag jaa.eñ
kabhī ik lamha-e-fursat jo mayassar aa jaa.e
merī socheñ mujhe suulī pe chaḌhāne lag jaa.eñ
raat kā rañg kabhī aur bhī gahrā ho jaa.e
kabhī āsār sahar ke nazar aane lag jaa.eñ
intizār us kā na itnā bhī ziyāda karnā
kyā ḳhabar barf pighalne meñ zamāne lag jaa.eñ
aañkh uThā kar bhī na dekheñ tujhe din meñ ham log
shab ko kāġhaz pe tirā chehra banāne lag jaa.eñ
ham bhī kyā ahl-e-qalam haiñ ki bayāz dil par
ḳhud hī ik naam likheñ ḳhud hī miTāne lag jaa.eñ
ajab insān haiñ ham bhī ki ḳhatoñ ko un ke
ḳhud hī mahfūz kareñ ḳhud hī jalāne lag jaa.eñ
vo hameñ bhūlnā chāheñ to bhulā deñ pal meñ
ham unheñ bhūlnā chāheñ to zamāne lag jaa.eñ
in makānoñ pe ḳhudā apnā karam farmā.e
jin meñ ḳhud un ke makīñ naqb lagāne lag jaa.eñ
nahīñ jaltā to utartā nahīñ qarz-e-zulmat
jalnā chāhūñ to mujhe log bujhāne lag jaa.eñ
ghar meñ baiThūñ to añdhere mujhe nocheñ 'bedil'
bāhar aa.uuñ to ujāle mujhe khāne lag jaa.eñ
hum kabhi shahr-e-mohabbat jo basane lag jaen
kabhi tufan kabhi zalzale aane lag jaen
kabhi ek lamha-e-fursat jo mayassar aa jae
meri sochen mujhe suli pe chaDhane lag jaen
raat ka rang kabhi aur bhi gahra ho jae
kabhi aasar sahar ke nazar aane lag jaen
intizar us ka na itna bhi ziyaada karna
kya KHabar barf pighalne mein zamane lag jaen
aankh uTha kar bhi na dekhen tujhe din mein hum log
shab ko kaghaz pe tera chehra banane lag jaen
hum bhi kya ahl-e-qalam hain ki bayaz dil par
KHud hi ek nam likhen KHud hi miTane lag jaen
ajab insan hain hum bhi ki KHaton ko un ke
KHud hi mahfuz karen KHud hi jalane lag jaen
wo hamein bhulna chahen to bhula den pal mein
hum unhen bhulna chahen to zamane lag jaen
in makanon pe KHuda apna karam farmae
jin mein KHud un ke makin naqb lagane lag jaen
nahin jalta to utarta nahin qarz-e-zulmat
jalna chahun to mujhe log bujhane lag jaen
ghar mein baiThun to andhere mujhe nochen 'bedil'
bahar aaun to ujale mujhe khane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.