hum kahan aaina le kar aae
ham kahāñ aa.ina le kar aa.e
log uThā.e hue patthar aa.e
dil ke malbe meñ dabā jaatā huuñ
zalzale kyā mire andar aa.e
jalva jalve ke muqābil hī rahā
tum na ā.īne se bāhar aa.e
dil salāsil kī tarah bajne lagā
jab tire ghar ke barābar aa.e
jin ke saa.e meñ sabā chaltī thī
phir na vo log palaT kar aa.e
sher kā ruup badal kar 'bāqī'
dil ke kuchh zaḳhm zabāñ par aa.e
hum kahan aaina le kar aae
log uThae hue patthar aae
dil ke malbe mein daba jata hun
zalzale kya mere andar aae
jalwa jalwe ke muqabil hi raha
tum na aaine se bahar aae
dil salasil ki tarah bajne laga
jab tere ghar ke barabar aae
jin ke sae mein saba chalti thi
phir na wo log palaT kar aae
sher ka rup badal kar 'baqi'
dil ke kuchh zaKHm zaban par aae
- Book : baar-e-safar (Pg. 17)
- Author : baaqii siddiqi
- Publication : maktaba urdu daijust saman abad lahore (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.