hum kahan hain ye pata lo tum bhi
ham kahāñ haiñ ye patā lo tum bhī
baat aadhī to sambhālo tum bhī
dil lagāyā hī nahīñ thā tum ne
dil-lagī kī thī mazā lo tum bhī
ham ko āñkhoñ meñ na aañjo lekin
ḳhud ko ḳhud par to sajā lo tum bhī
jism kī niiñd meñ sone vāloñ
ruuh meñ ḳhvāb to paalo tum bhī
hum kahan hain ye pata lo tum bhi
baat aadhi to sambhaalo tum bhi
dil lagaya hi nahin tha tum ne
dil-lagi ki thi maza lo tum bhi
hum ko aankhon mein na aanjo lekin
KHud ko KHud par to saja lo tum bhi
jism ki nind mein sone walon
ruh mein KHwab to palo tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.