hum kahin bhi hon magar ye chhuTTiyan rah jaengi
ham kahīñ bhī hoñ magar ye chhuTTīyāñ rah jā.eñgī
phuul sab le jā.eñge par pattiyāñ rah jā.eñgī
kaam karnā ho jo kar lo aaj kī tārīḳh meñ
aañkh nam ho jā.egī phir siskiyāñ rah jā.eñgī
is na.e qānūn kā manzar yahī dikhtā hai ab
paañv kaT jā.eñge lekin beḌiyāñ rah jā.eñgī
sirf lafzoñ ko nahīñ andāz bhī achchhā rakho
is jagat meñ sirf mīThī boliyāñ rah jā.eñgī
kyoñ banāte ho siyāsat ko tum apnā ham-safar
sab chale jā.eñge lekin kursiyāñ rah jā.eñgī
tum ko bhī ādarsh par 'ādarsh' chalnā hai yahāñ
varna is daldal meñ dhañstīñ pīḌhiyāñ rah jā.eñgī
hum kahin bhi hon magar ye chhuTTiyan rah jaengi
phul sab le jaenge par pattiyan rah jaengi
kaam karna ho jo kar lo aaj ki tariKH mein
aankh nam ho jaegi phir siskiyan rah jaengi
is nae qanun ka manzar yahi dikhta hai ab
panw kaT jaenge lekin beDiyan rah jaengi
sirf lafzon ko nahin andaz bhi achchha rakho
is jagat mein sirf miThi boliyan rah jaengi
kyon banate ho siyasat ko tum apna ham-safar
sab chale jaenge lekin kursiyan rah jaengi
tum ko bhi aadarsh par 'adarsh' chalna hai yahan
warna is daldal mein dhanstin piDhiyan rah jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.